Saturday, June 16, 2007

EK SAWAL

Aaj main bahut bore ho rahi thee,tab maine kuch likhne ki sochi, likhne ja hi rahi thee ki....door bell bazi udkar darwaza khola to dekha ki.Aarti thee, use dekhte hi main chunk gai are;...ye yanha kaise? iske baare main to suna thaa ki......................khair main use lekar ander aa gaiee....wahi tikhe nainnaksh gora rang lekin nistez chera... wo kanp rahi thee,maine use baidhaya ,pani pilaya,thodi der tak wo chup rahi fir usne.. mere baare main pucha, baccho ke baare main pucha aur fir jane ke liye kahne lagi.... jate samay usne mujse kuch paise mange.
main pahele to jijki ki Vinod hain nahi main bina puche hi paise kaise de doon..fir main kuch soach kar paise de diye...wo chali gaiee jate samay usne apne office ka card diya... wo maine rakh liya.

kuch dino ke baad wo ek dopher mere pass aayee aur mare paise wapas kar diye........mere bahut anurodh per wo baith gaiee aur apne bare main batane lagi........usne bataya ki shadi ke kuch saal to acchi tarah se bite,lekin uska pati sharab ki lat, aur business ke badte dabwab ke karan apna mansik santulan kho baida tha aur samay se pahle hi uski death ho gaiee thee.pati ki chodi sari property ko bhaiyo ne apne naam krwa kar usko ghar se nikal diya tha ....apni 2saal ki choti bacchi ke saath usne atmahatya ki sochi lekin vidhata ko yah bhi manjoor nahi tha.aur usne haar kar wah shahar hi chod diya ....choti_moti naukri karke apna aur apni bacchi ka pait palne lagi.
Samay ke saath wo nidar ho gaiee aur aaj usne dubara jiwan jine ki socji aur apni bacchi ke ujjawal bhavishya ke liya
aage padai karke, office ke ucche pud per pahuch gaiee,...jin longo dwara wo dhukrai gaiee thee aaj wohi log khud usse sambandh jodna chate hai.
{EK SAWAL........KYA USE YESE SELFISH LONGO SE SAMBAND RAKHNA CHAHIYE?}

5 comments:

Ankur Srivastava said...

sawaal to kafi bhari hai.............aarti to wahi karegi jaisa aap chahengi kyunki blog to aap hi likh rahi hain :)................but agar aarti akele rahe to story aage badhayi ja sakti hai............aur agar purane logon ke saath rahe to shayad nahi...............blog accha likha hai...........aur likhiye...........dramatic social issues pe likhna aasan hai............kuch aur topics sochiye likhne ke liye

Anonymous said...

Aarti ko wahi karna chahiye jo uski antaratma kehti hai...par apni self-respect ka khayal rakhte huye..

story kuch dramatic si to lag rahi hai..par jo message aap dena chahti hain wo clear hai..

Good effort...achcha likha hai..keep it up!

Aaira said...

bahot hi sahi likha hai.. first efforts ke hisaab se.. but likhne ke pehle apne thoughts clear karke likhne se kaafi better writing hoti hia.. overall very good effort.. baaki topics ko dramatic hone ki zarrorat nahi hai.. apne aas pass ki regular life se bhi interestig stories nikalti hain!!

Anonymous said...

Aisa sawal poocha hi kyon jiska answer sab jantey hi hai,story se jyada comment padhne me maza ata hai

Anonymous said...

viagra rrp australia cost viagra and alcohol no prescription viagra cheap herbal viagra viagra patent viagra suppliers in the uk buy viagra in london england sample of viagra homemade viagra no prescription viagra viagra larger forever buy sublingual viagra online mail order viagra cheap viagra overnight