Saturday, June 23, 2007

AKELAPAN

Radha ka sara dhyan apne college ke campus ki taraf thaa,charo taraf bheed_bhad thee........ladke ladkiyan rang-birange capde pahne khushi aur uttsah se joom rahe thee .Aaj college ka pahela di thaa.

chotte sharon se aayin ladkiyan kuch sahmi si thee..........use apne purane di yaad aa gaye..............Wo bhi ek din eise hi collega aayee thee .uttsah-umang se bhari aage badne ki lalak ke saath ......saath hi saath papa ke armano ko pura karne ki lalak..... ki wo khub pade aur samaj main apna naam roshan kare,
lekin Ma ko ladki ka zayada padna nahi bhata thaa unhein lagta thaa ki padai ke saath Radha ghar ka bhi kaam kare ........aakhir use apna ghar bhi to basana hai.

college main Radha ki mulakat Rajni se hui,kuch hi dino main dono dost ban gayin,
unhone college main khub masti ki ,samay kab pank laga kar nikal gaya pata hi nahi chala.
isi beech Rajni ki shadi uske DR. papa ne ek accha sa ladka dekh kar kar di .wo apne ghar chali gai..............ab Radha ka akelapan bad gaya thaa.

college main teacher ki gagah khali thee aur usne naukri kar li.... saath main padai bhi jari rakhi.Ma jab jab shadi ke liye kahti wo hamesha mana kar deti ,aur uncha banne ki koshisho main jut jati.......uski shadi ka sapna dekhte-dekhte Ma chal basi.ab Radha is duniya main ekdam akeli thee.
Radha ki sabhi friends ki shadi ho gai,sabhi apne-apne ghar main khush hain.
aaj uske pass Rupya-Paisa-pad-Maan sabhi kuch hai lekin fir bhi wo akeli hai,uddas hai.......aaj use Ma ki bahut yaad aa rahi hai ....jo hamesha uska ghar basana chati thjee....wo kaha karti thee ki ..........sukh rupye paise main nahi ghar ki sukh aur shanti main hai ....Ma padai ki virodhi nahi thee ...lekin ghar basana bhi zaroori samzti thee..............tab wo aur papa Ma ki baat ko gambheerata se nahi lete thee......unhen lagta ki din-raat chule-chauke main rahne wali aurat kya zane.
KASH; tab wo Ma ko samaz pati?

6 comments:

Anonymous said...

Achcha hua ma time pe chal basi...hahaha....mujhe bahut hansi aa rahi hai ye padh kar...

Anonymous said...

wo late marriage nahi kar sakti?

Aaira said...

abe ye topic to mujhe kuchch ajeeb laga.. just because uski ma chal basi.. iska matlab ye nahi ki time se shadi karna zaroori hai.. life ki khushi shadi mein nahi.. na hi paise mein hai.. khushi hai apne mann ka kaam karne mein.. ma ko to ek din marna hi tha!.. kab tak zinda rehti.. moral of the story.. apni tabiyat ka khayal rakho! warna time se pehle mar jaoge sab!! haha..

Anonymous said...

aapne itni bore ladki ke bare me likha hi kyon,jiska kahin affair bhi nahi hua ,waise shadi to kisi bhi age me ho sakti hai

Ankur Srivastava said...

radha ki kahani kisi purani bollywood movie se inspired lag rahi hai...............lekhak se nivedan hai ki kisi different idea pe focus karen :)

Anonymous said...

Ankur ji...aap log to khilli uda rahe hain...aise nahi karte..ek to wo lekhak nahi 'lekhika' hain...

chalo shaadi.com se Radha ke liye ladka dekhte hain :)

waise is poore write-up me story weak hai..par discription achcha kiya hai..good effort...ab ladkiyon ko itna bhi dukhiyari bana ke kahani mat likhiye bhai!!