Tuesday, July 17, 2007

NOORI


Noori ki shadi 13 saal pure hote hi uske father HAIDER ne apne chote bhai ke ladke {SHAMIM} ke saath kar di.

Shamim ki cycle banane ki choti si dukaan thee, badi mushakil se uska kharcha chalta tha.ghar main kul mila kar 15 sadsya the,Shamim ke chote bhai- bahan di bhar idhar-udhar ghooma karte the,aur pita MUNOOVER rikshaw chalate the,Shamim aur Munoover ke laye paise se ghar ka kharcha chalta tha.
Noori shadi ke baad apne pati ke pass Jaipur chali gayee,kuch mahine to aaram se beete ,lekin ghar wale uske samne kuch vishesh baat nahi karte thee,na...hi usko kisi function main shamil kiya jata thaa,dhire dhire Noori ko pata chala ki Shmim pahle se shadi-shuda hai ,aur uska apni pahli patni se talak nahi hua hai.

[ Zayada paise ke lalach main Munoover ne Shamim ki doosri shadi kar di,aur talak ki galat khabar di.Munoover Jaipur main rahta tha aur Haider Allahabad main . ]

Shamim ka pahli patni ka ghar main aana-jana dhire dhire shuru ho gaya tha.Noori ne jab is bare main Shamim se baat ki to wo naraz ho gaya aur Noori ko marne laga,aur ab ye roz-roz ki baat ho gayee thee.2 saal bitte bitte Noori ek bachi ki ma ban gayee thee,is beech wo kabhi apni ma ke pass Allahabad nahi gayee,ab uske sasural walo ka atyachar uske uper bad gaya tha,choti choti bato per usko maar padti thee,khana nahi diya jata thaa.........roz-roz ki kich-kich se tang aakarNoori bhag kar Allahabad aa gayee .

Noori kafi kamzor ho gayee thee,uski beti bhi roz bimar rahti thee, dawai aur khana na milne se beti ki death ho gayee.
Beti ki death ka samachar sunkar bhi Shamim nahi aaya,aur Noori ko wapas na aane ki hidayat di.
Noori ke pita ne Maulwion ki madad se noori ka talak karaya,ab Noori apni ma ke paas rahti thee,aur ma ke kaam main haath batati thee.
ek sadak durghatna main Haider ki maut ho gayee .1-2 saal baad Noori ki choti bahan Reshma ki shadi bhi ho gayee.........ab ghar main Noori aur uski ma[ NAGMA] hi rahti thee.

Nagma noori ke baare main soch-soch kar pareshan rahti thee,aur usne Noori ki dusari shadi kara di.


Noori ki dusari shadi safal rahi,uska pati bahut dhyan rakhta thaa................ab Noori ek ladke ki ma hai ,aur apne bete ko ek acche school mai pada rahi hai,haan......... iske liye noori ko kafi mehnet karni padti hai.ab wo dusro ke gharo main bartan maz ker aur aacher --papad bana kar paise kamati hai aur ghar ke kharch main apne pati ka haat batati hai.


Noori apni ma ka bhi dhyan rakhti hai.

Shamim ko apne kiye ka pachtawa hai,wo noori ko apne saath rakhna chahta hai, Lekin ab bahut der ho chuki hai.

10 comments:

Aaira said...

ye sala haider kaun hai and shamim kaun hai? noori ka pati kaun sa wala hai? itni confusing kahani hai ki ab tension mein office ka kaam nahi kiya jayega.. yahi sochne mein time nikal jayega ki noori ka pati kaun hai!!

ek aur sawal.. author kya kisi khush insaan ko nahi jaante? sabki life itni tragic kaise hai?

Anonymous said...

mera bhi ek sawal hai..kya Noori sabke ghar kaam pe time se jaati hai..ya khoob naaga karti hai?

Aur Parul, tum zyada dimmag nahi lagao..Noori ka pati koi bhi ho..us se kya farak padega!!!

Kahani se lekhika ji kya batana chhati hain? ki shaadi nahi karo..pati already married ho sakta hai? ya jaanch parakh ke shaadi karo? ya ek baar shaadi ho jaye to wapas mayake nahi jao nahi to pati wapas nahi bulayega? ya doosri shaadi sabse pehle kar lo aur sukhi raho..akhir message kya hai?

Aaira said...

bilkul sahi baat kahi - raka aunty ne.. lekhika ki thought process thodi confusing hai! abhi picchle log mein ye bola tha ki shadi time se karni chahiye warna maa mar jaati hia.. is blog mein bola hai ki shadi nahi karni chahiye warna sasuraal waale maarte hian.. ye itna confusion kyu macha rakha hai.. lekhhika se nivedan hai ki ek kamre mein andhera karke baith le and ye soch le ki aakhir shadi kab aur kisse karni chahiye?

Ankur Srivastava said...

lekhika ko ye saare blogs
www.nuri bahut dukhi.com pe daal dene chahiye aur ek aisi duniya ki rachna karni chahiye jahan koi shaadi na karta ho:)

Neeraj Rohilla said...

Namaste Auntiji,

I am Neeraj, the room mate of Ankur. I see your blog very often. If you would like to write your blog in Hindi, please let me know.

These days it is really easy to write in Hindi. Please email me at nrohilla@gmail.com if you want to start a blog in Hindi.

Thanks,

उन्मुक्त said...

देवनागरी में लिखा होता तो और अच्छा लगता।

Anonymous said...

Your blog keeps getting better and better! Your older articles are not as good as newer ones you have a lot more creativity and originality now keep it up!

Anonymous said...

It isn't hard at all to start making money online in the hush-hush world of [URL=http://www.www.blackhatmoneymaker.com]blackhat cpa methods[/URL], It's not a big surprise if you don't know what blackhat is. Blackhat marketing uses not-so-popular or misunderstood avenues to produce an income online.

Sumit Kumar said...

Bhagwan kasam kitni dard bhari daastan hai.....aacha serial zaroor banega....waise kaam ki baat pe aate hain....yeah ho Noori hai..wahi jo bartan wartan maazti hai....hai to allahabad sai....agar jaidaa naaga wagarah na karti ho to kya 1 mahine kay liye apne ghar pe kaam karegi...kya hai na ki ghar bahut dino say baand pada hai...Allahabad pahunch kay saaf safai kay liye kisi ka kisi ko to bulana padege....nori kyon nahi

Anonymous said...

top [url=http://www.xgambling.org/]casino online[/url] coincide the latest [url=http://www.realcazinoz.com/]casino online[/url] manumitted no deposit hand-out at the chief [url=http://www.baywatchcasino.com/]online casino
[/url].